Wednesday, August 17, 2005

SAHIL PEH LIKHI TEHREER....!!!

Sahil peh likhi tehreer huon,
Aik din mitt jaon gee
Keh jitna samaintuon gee khud ko,
Utna bikhar jaon gee

Apnay ehsaas ki chah mein,
Kiya kiya na kiya mein nai
Jitna jaanoon gee khud ko,
Utna ulhajh jaon gee


Aaj phir khud ko saza dee mein nai,
Keh khud sai wada yeh kiya
Ab na bolon gee kuch bhi,
Bas khud hi khud jal jaon gee


Mein nai chaha hai jissay,
Jiski khawish ki hai
Bas uski aas mein aik din,
Duniya sai chali jaon gee.

(Samreena)




No comments: